Friday, 19 August 2011

Anna ki hai aandhi aayi


Anna ki hai aandhi aayi,

Anna ki hai aandhi aayi, soye Bharat ko jagane aayi
khoob karli loot chori, ab nahi neta kher teri
karle jatan tu chahe jitne, ulte sidhe hatkande saare
Bharat ke yuva ke haatho ab nischit hai maut teri
ho zinda agar tum, to pinjare me mat rah jana
hai aag lagi jahan me, tum andhere me na rah jana
pukarti hai aaj dharti, desh ki khatir kuchh kar jana
hai tumse hi nasle kal ki, apna naam garv se de jana
hai jantantra ka aadhar yahi, ki ho jo janta chahe vahi
sansad ki jo garima hai, vo rashtra-bhawna se pare nahi

Jai Hind

1 comment: