Tuesday, 23 August 2011

pankh hamare bohat hai lekin


pankh hamare bohat hai lekin



pankh hamare bohat hai lekin,udne ko aakash to do,
khud ko roshan kar denge,hamko hone ka ehsaas ko do,
har jagah pataka fehra denge,sada safal gathao ki,
pag pag se raah bana lenge ham,in kadmo ko pehchaan to do,
pankh hamare bohat h lekin......

ham himmat hai,ham takat hai, ham sehan shakti ki murat hai,
aad jaye to ek tabahi hai,jhuk jaye to prem ki murat hai,
najuk najuk in haantho se,ham kaam karenge jatil jatil,
har ek papi ka naash karenge,in haantho me talwaar to do,
pankh hamare bohat hai lekin.....

bholi bhali surat hai ,par sankalp hamare bade bade,
har andhi tufaan me ham,dhrin prehri bankar date rahe,
ek baar jo aage bad jaye mudna na hamne jana hai,
gaa gaa kar jyot jala denge,in shabdo ko aawaz to do,
pankh hamare bohat hai lekin.....

kholo kapaat in pinjro ke, fir parkho nari shakti ko,
pal me komal pal me jwala,aisi adbhut bhakti ko,
badal k rakh denge duniya ko,in ummeedo ko aagaz to do,
pankh hamare bohat hai lekin.....

beta beti ka bhed bhula,ek baar hame apna kar dekho,
ban mashaal rah dikhla denge ham,ek jyot jara dikhla kar dekho,
har haal me ham saiyyam rakhte,or paa lete swaroop naya,
khud ko sabit kar jayenge,hamko spardha ka maidan to do,
pankh hamare bohat hai lekin.......

yu kutar kutar najuk pankho ko,tum kis par jor batate ho?
jis nari se tumne janam liya,tum maar use muskate ho,
tyaag pratigya jeevan jiska,ek uff bhi jo na kare kabhi,
nahi mangti dhan or daulat,astitwa ko uske samman to do,
pankh hamare bohat hai lekin ,udne ko aakash to .............


    1 comment: